Sadaat E Karbala | Nadeem Sarwar | 1990

0

 Sadaat E Karbala | Nadeem Sarwar | 1990

Sadaat E Karbala | Nadeem Sarwar | 1990


Sadaat E Karbala | Nadeem Sarwar | 1990


Sadaat e karbala .. (2)

Chehlum ko karbala me jo aayi wo bibiyaa

Sadaat e karbala..

Har bibi kar rahi thi kuch is tarha se girya

Sadaat e karbala

 

1. Kuch bibiya'n yaha hai kuch bibiya'n waha

Karti hui fughaa .. (2)

Bikhri hui thi maqtal e sarwar me jaa bajaa

 

2. Ek bibi dasht e khooni me jaati hai nahr par

Kehti ba chashme tarr .. (2)

Abbas dene aayi hoon pursa sakina ka

 

3. Ghut ghutke laadli teri zinda mein mar gayi

Turbat wahi'n bani.. (2)

Bhaiyya wo qaid se na hui marke bhi juda

 

4. Akbar ki qabr par yu hui laila nauhagar

Dekha na saal bhar.. (2)

Aayi hu qaid e shaam se ab hoke mai reha

 

5. Bano ye bain karti thi aye mere bezubaa'n

Maa dhoonde ab kahaa.. (2)

Batla de hai kaha'n mera asghar aye karbala

 

6. Qurbaan tere aye mere maa jaaye bewatan

Majboor thi bahen.. (2)

Zindaa'n mein mujhse teri amanat hui juda

 

7. Rote hai khaas o aam tera sunke ye kalaam

Aye shaah ke ghulaam .. (2)

Nauha tera anees hai makbool e baargaah




Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)